Hi friends kaise hai aaplog .friends maine yek post likha tha jisme maine bataya tha ki kaise aap Netbanking ke madhayam se online ATM/Debit card  prapt kar sakte hai .Jo post ko maine  bataya tha.oo aise hi nhi bataya tha mai khud bhi apply kiya tha aur oo ATM card hamare Home ke adress per aa gaya hai.yadi aapne Netbanking se kaise Online ATM card apply karte hai, wala post nhi read kiya hai to mai aapko niche link de dunga aap read karke khud bhi apply kar sakte hai.

यहाँ पढ़े:

Friends aaj ke post me bataunga ki SBI New ATM  Pin Generation Online Kaise Kare?.aapko bank jaane ki jrurat nhi hai.

How to get SBI ATM PIn number online netbanking
SBI New ATM Pin Generation Online कैसे करे ?

Friends pahle ,jab hamare pass ATM card aata tha jisme ATM pin saath me rahta tha,lekin dhire-dhire bank ne costomer ki data ke leak aur unke financial froud se bachane ke liye bank ne apna niyam change kar diya.aab hame khud apna ATM pin generate karna padhta hai.ATM pin generate karne ke liye bhut sare process hai ,mai sabhi process ke bare me bataunga .kuch process online hai to kuch process offline hai.aaj mai aaplog ko pahle online ATM pin generate karne ke baare me bataunga uske baad aapko offline ATM pin generate karne ke baare me bataunga.

SBI New ATM Pin Generation Online Ke Liye Kya-Kya Hona Chahiye?


➧Kisi bhi Sbi branch me account
➧Netbanking User Id
➧Netbanking User Password
➧Netbanking Profile Password
➧Registered Mobile Number with your  bank account

यहाँ पढ़े:

SBI New ATM Pin Generation Online Step By Step

Step(1)

Online sbi ki official website pe jaaye aur apna user id and user password enter karke login ho jaaye.

SBI atm pin generation online
Enter your user id and user password

Step(2)

E-service ko select kare.

pin generation online sbi
E-service ke select kare

Step(3)

Select ATM card service jaisa ki aapko niche image me dikhaya gaya hai.

Online sbi pin generation process
Select atm service

Step(4)

Now select ATM pin generation.uske baad naya dashord open hoga .apna account select kare aur continue pe click kar de.

how to generate atm pin online sbi
Select atm pin generation

Select(5)

Friends yadi aapke pass pahale se ATM card hoga to aapke samne option aayega  kaun si ATM ki Pin generate karna chahte hai.Naye ATM card me ATM card number ke dekhe aur usse select kare.and submit pe click kar de.

netbanking se new atm pin kaise generate kare
Select card number

Step(6)

Ab aapko apne man se two digit Pin enter karna hoga.aur two digit aapke mobile number pe password Bank send kar degi.

Internet banking se kaise atm pin generate karte hai online
Enter your two digit password

Step(7)

Now enter your four digit password.two digit jo aapne enter kiya tha aur two digit aapke mobile per bank send kiya tha.Four digit enter karne ke baad submit pe click kar de.

Netbanking se Debit card pin kaise generate kare
Enter your four digit password

Step(8)

Friends aapne apna ATM pin generate kar liya hai.

Netbanking se kaise debit card ki pin update kare
You have sucessfully done your ATM pin generation

Friends aapne to apna pin generate kar liya hai lekin aapka card activate nhi huwa hai iske liye aapko apne najdiki ATM me jaare aur thora transaction kae le or balance cheak kar le.yadi aap ATM me nhi jaan chahte to aap koi baat nhi next step ko follow kare.

Step(9)

Again aap E-service ke select kare ,ATM services pe click kare and select New ATM card activation.

How to generate new atm card pin online
Select new ATM card activation

Sep(10)

Account select kare aur apna New ATM card number enter kare and activate pe click kar de.

how to generate new atm pin number online sbi
Select account number and entery your new atm card number

Finally aapne apna ATM Card activate kar liya hai.

Online SBI enternet banking se kaise apna atm pin generate kare
finally you have activate your ATM card

Friends aab aapko batate hai ki kaise aap without Netbanking ke ATM pin generate kar sakte hai.

(1)ATM PIN Generation Through SMS

➧Jo Mobile number aapke account se link hai uske message inbox me jaaye and Type kare
   PIN<space>Last four digit ATM/Debit card number<space>Last four digit Account number
   aur send kar de 567676.

   Example:-PIN 5598 7643
   Where "5598" aapka four digit ATM/Debit card number hai and
              "7643" aapka foue digit Last account number hai.

➧Aab aapke mobile number pe OTP(one time password) jaayega jo 2 days ke liye valid rhega.

➧Aap OTP ke madhyam se Kisi bhi SBI ke ATM me jaaye aur apna new ATM PIN generate kar le.

➧Yadi aapko samajh me nhi aata hai to ATM me guard rhta hai usse help le.

(2)ATM PIN Generation Through ATM Machine

➧Naye ATM card ke SBI ATM machine me insert kare.

➧PIN Generation ko select kare.

➧Apna account number ko enter kare and confirm kar de.

➧Apna Registere Mobile number ko enter kare and confirm kar de.

➧Aab aapke Mobile number pe OTP pin aayega jo 2 days ke liye valid rahata hai.

➧OTP ki help se apna ATM PIN generate kar le ATM machine se.

(3)ATM PIN Generation Through IVRS(Interactive Voice Response System)

➧Apne Registered number se Bank Contact center (1800 425 3800,080 26599990,1800 1122 22)
call kare.

➧Aapko ATM card number and Bank Account number enter karne ke liye bolega .

➧Jaise hi aap apna ATM card number and bank account number enter karenge aapke Mobile per OTP send kar dega.

➧Aap OTP ki madhyam se kisi bhi SBI ATM machine me jaaye aur ATM PIN generate kar le.

To friends mai samajhta hu ki aapko SBI New ATM Pin Generation Online Kaise Kare? samjh me aa gya hoga.koi bhi problem hone per SBI bank cente se contact kare.Thanks:)