Friends jis tarah se Internet pure world me increase kar rhi hai utni hi speed se Cyber crime and Cyber Attack bhi increase kar rahi hai.aaj hamlog Cyber crime and Cyber Attack Ki Jankari Hindi Me janege.Jab ham online shoping,Online payment,Internet ...etc se jury gatibidhi karte hai to hame Cyber Attack ka khatara bana rahata hai ,lekin darne ki koi baat nhi hai hamlog itne bhi unsecure nhi hai.

Cyber crime and Cyber attack kya hota hai
Cyber crime and Cyber Attack Ki Jankari Hindi Me

Aaye dino hame sunane aur padhne ko milta hai ki kisi man ke phone per call aata hai aur bola jata hai ki ham Bank se bol rhe hai aapka ATM card ka validity khatam hone wala hai aap apna ATM pin number bataiye ham aapke ATM Card ko renew kar denge .Itna puchne ke baad uske Bank account ko hack karke uske paisa ko chura liya  jata hai.Ish tarah ke mamale me padhe likhe  log bhi  fash jaate hai to kahi n kahi hamlog me jankari ki kami hai.Step by step ye sabhi chijo ke baare me jante hai.Sabse pahle jante hai cyber crime ke baare me.

Cyber crime kya hota hai?


Cyber crime ka sambandh computer and Internet se jure crime se hai jise ham cyber crime kahte hai.
Yah yek aisa crime hai jo Data and copyright ke against ki jane wali crime hai.Yah computer and internt ke dawara ki jaane wala crime hai jisme child pornographics,jalsaaji,cyber staking and bina permission ke kisi ke data ko leak karna. chije samil hai.
Cyber crime kisi jagah, kisi time per world ke kisi bhi kone me baithe kisi man se ki jaane wala  crime hai.Yah computer and isse related devices ka use three type se kiya jata hai.
⧫Computer ko aim banakar
⧫Agent ke form me
⧫Crime ke form me
Yah aisa crime hai jisme computer ke sath sath computer network se related bhi hai.Is tarah ke crime ko rokana bhut hi muskil hai kyuki yah human ke mind se kiya jata hai jise samajhna bhut hi muskil hai.

Cyber Crime me Kya-Kya aata hai?

➨Hacking
➨Cyber Maanhani
➨Cyber Pornography
➨Identity ki chory
➨Online Fraud
➨Cyber Attack

Hacking Kya Hota Hai?

Hacking ka main matlab secure information ko uda ya chura lena hota hai.Iske madhyam se koi person kisi computer system or network  me secure information ko galat tarike se computer system or network me enter karke kisi orgnisation ya kisi person ke hidden information ko chura leta hai.Jo person information or data ko churata hai use ham Hacker kahte hai.

Hacking network programing ke dawara ki jaati hai, ye sab alag hi duniya hoti hai.Aksar hacker Network ko crack karne and Password ko pata lagane ke liye program ko design karte hai and iski help se hacking karte hai.

Hacking ki suruwat VIHSCOR namak program se hui thi jiska use system administrator  apne system ki kamiyo ko janane  ke liye kiya gaya tha. Yah yek aisa progam hai jiski help se Hacker yah jaan leta hai ki computer me kaun sa Operating system hai and usme kitna privacy problem hai aur privacy problem ke liye patch install hai ya nhi.Iske baad Hacker Program and software ki help se waise file jo unsecure hai ,usme Virus daal deta hai jisse jab bhi computer LOG-ON hota hai to computer automatically hacker ke computer me information ko send karna suru kae deta hai.

Jisse victum ki computer per hacker ki puri tarah se control ho jata hai.
India ke yek hacker ne 80 lakhs logo ki identity churakar Rush ke yek mafiya se sell kar diya tha jisse India ko approx 2.5 kharab ka nuksaan huwa tha.
Cyber crime ke history me ye ab tak ka sabse big Cyber crime hai.

Cyber Maanhani Kya Hota Hai?

Yah yek aisa Cyber Crime hai jisme Kisi aadmi or Internet user  ke social account ke password ko crack karke uske name se kisi dusare aadmi ko Badnaam karne ki kosis ki jaati hai.Ye sab ki jaankari Internet User ko pata nhi hota hai ki uske account ke saath  kya-kya ho rha hai.

Cyber Pornography Kya Hota Hai?

Internet ki help se computer ko janane wale log Children,Girls,Boys ki nude photos ko advertise karte hai jisse amature bacchhe is tarah ke Photos dekhakar sex relation banane ke liye prerit hote hai.
Iski help se Cyber criminal Internet user ki personal information tak phuch jaate hai. Briten,America,Jarmani jaise desh me  Cyber Pornography adhik aster pe hote hai.America me ise rokane ke liye The Enocent namak orgnisation ko banaya gaya hai jisse ise stop karne ki kosis kiya jaa rha hai.

Identity Ki Chory

Ish prakar ke cyber crime ko karne ka main maksad Identity Ki Chory karke paisa kamana  hota hai.
Yah yek aisa cyber crime hai jisme kisi aadmi ki personal Data and informatiom ko unlegal tarike se prapt karne ke baad iska upyog churane wala aadmi apni pahachan bachakar bure tarike se upyog karta hai.Ish cyber crime me Identity ko bhut hi chalaki se chori ki jaati hai.Jiski Identity chory hoti hai use bhut dino tak yah bhi nhi pata hota hai ki hamari identity chori hui hai.

Online Fraud Kya Hota Hai?

World ki bhut hi romanch invention Internet hai jo aaj ke samay me hamare life ki pahlu ban gaya hai jo lagatar hamari life ko aassan karti ja rha hai.Example ke liye Online shoping,Online Money transfer,Online ticket booking ,,,e.t.c.

Lekin kuch aise bhi log hai jiske reason se Internet hamare life ke liye difficalty bhi ban  gai hai.
Example: Online internet se shoping karte time Information ko unlegal tarike se chura lena.Yah itna aassan nhi hai lekin fir bhi hamari galtiye ya chuck ke karan aisa ho jata hai.
Online money transfer one bank account se another bank account karte time.

Froud website and Email bhi Online froud ka part hai jo yah programer ke madhyam se banaya jata hai.Some website aisi hoti hai jo dekhane me sahi lagti hai lekin hakikat me  website froud hoti hai.Froud website ko banane ka main makshad Internet User ki personal data and information ko churana and uske bank account ki jankari ko prapt karke unlegal trike se upyog kiya jata hai.

Types Of  Online Froud
Basically yah 2 types ka hota hai jo jayada use kiya jata hai.

(1)Phishing:-
Yah E-mail ke madhyam se kiya jaata hai.Logo ki E-mail Id jankar unhe E-mail karke kaha jata hai ki aap apni information ko hame send karde.Iska main makshad logo ki user password and personal information prapt karna hota hai.Phishing ki help se logo ki thora information jankar unhe bishwash dilaya jata hai and kha jata hai ki aap apne bare me full information prapt kara de.Logo ki information jankar uska durupyog kiya jata hai.so mai aapko bolunga ki jab bhi koi  E-mail karke koi bhi jankari prapt karna chahe to aap  kabhi nhi information ko send kare.kabhi kabhi aapke email karke kha jata hai ki aapka lautry laga hai aap apna diye gaye link pe click karke information  ke hame send kar se.Ish tarah ke E-mail jab bhi aaye to aap Link pe click nhi kare and information ko bhi send nhi kare.ye sabhi information ko churane ka tarika hota hai.

(2)Spoofing:-
Spoofing ka meaning Internet ya Network per kisi dusare host ke IP(internet protocal) adress ka use karke apne aap ko dusare logo ke form me dikhana hota hai. jhuthe name ,jhute email adress se send kiye gaye Email ko spoofing kha jata hai.Spoofing ki help se koi bhi aadmi assani se hacking kar sakta hai ya bina authentication ke apne host se dusare host me enter kar sakta hai.

Cyber Attack Kya hota Hai?

Cyber attack yek prakar ka Cyber crime hai jise computer network attack kaha jata hai.Computer network attack ka main matlab jaanbhujkar kar internet ki help se yek computer se dusare computer ko unauthorized tarike se upyog karna hota hai.

Types Of  Cyber Attack

➨Password sniffing
➨Spoofing
➨Exploit Tools
➨Virus Attacks
➨Malware Attack
➨Breach Of Access
➨Instant Messaging Abuse
➨Denial of services
➨Logic Bombs
➨Spamming
➨Phishing Attack
➨Spyware attack
➨Trojan Attack
➨Website Defacement
Ye sab aise Cyber attach hai jiski help se Logo ki information,Data,Website ko Hack karna ,Computer system network ko nust karna hota hai.Aise aur bhi bhut saari triko ko hacker log develope krte rahte hai jise janna thora muskil hota hai.