Human Brain Kya hai?
Friends aaj Ham baat karne wale hai Human brain ke baare me ji ha aapne shi padha.
Human brain hamare life ka sabse different ,bemisal and anmol ratan hai.Yah hamare sampurn Human body ka Beskimti khajana hai.Hamare jiwan ka har o time har o pal brain ke kam per depend karta hai.Bhukh aur payash se lekar dard aur khushi ka ahsas bhi Human Brain ke karyo per depend karta hai.Hame kis time kya karna hai? kab kya khana hai? kab kha jana hai? kab kya likhana hai? kab kya padhna hai? kab sona hai? kab kisi se baat karna hai? Yah sab hamare brain yani mind hi hame batata hai.
Human Brain Kya Hai? |
Ham apne jiwan me kitna aage jayenge,ya Ham apne life me kya karenge?world me hamari pahchan kya hogi?Yah bhi hamare brain ke karyo aur uski thinking pe depend karta hai.Hamare life ki jit-har, jay-parajay ,success-unsuccess sab kuch hamare Human Brain ke kaam karne ki wajah se hota hai.
Kya aapne kabhi socha hai kyu kuch log simple se high level tak chale jaate hai ,jabki kuch logo ki life jaise pahle tha waise hi rah jaati hai?Kyu kuch log life ko acchha bana lete hai,Jabki kuch logo ki apni life dukhad story banakar rah jaati hai?In sabhi questions ka answer simple hai ki ham apne mind ka use kis tarah se karte hai.
Success log apne Brain ke sochne ka tarika and uske work karne ke trika ko samajh kar kuch hi dino me aasaman ki uchaiyo ko choo lete hai,Jabki dusre log iske kam karne ke tariko se anjan rahkar dharti ka dhul bankar hi rah jaate hai.kitne logo ko to aaj tak yah bhi nhi pata hai ki hamara brain kaisa hai,yah kaise sochta hai aur kaise kaam karta hai.Brain kaise kaam karta hai iske baare me alag se details me post likhunga.Ise janana bhut hi jaruri hai.
Friends aap hi bataiye ki Hamara Brain kaise kaam karta hai ,iske jaane bina ham apni Brain se acchhi tarah se kaam kabhi le sakte hai, nhi n? Aab aapko pata Ho gaya hoga ki life me success pane ke liye aur Apni Brain se acchhi tarah se kaam lene ke liye yah janana bhu hi jaruri hai ki hamara brain kya hi?Aap yakin nhi manege ham logo ke paas jitna sochne, samjhne aur kaam karne ki yogyata hai iis pure post ko padhe and Brain system ko samjhne ke baad aap dusro se alag ho jayenge.
Human brain ka structure Bilkul alag and vichitra hai.Hamare kapal-boon ke kawach me save rahta hai. yah rachana bhure color ke transparent liquid ke form me rahta hai.Hamara brain mukhya rup se Two part se bana hota hai. yek part ko Right part brain(80%) and dusre part ko Left part Brain(20%) ke name se jaana jata hai. Ye dono hi part arbo tantuoo se link rahta hai. Arbo tantuoo (35 Arab se bhi adhik) ke jaal ko tantoo jaal(Corpus Callosum) kahte hai.
tantoo jaal(Corpus Callosum) Kya Hota Hai?
Yah hamare abrain ke karay-pranali ko acchhe tarike se chalane me mukhya bhumika hota hai.Yah Brain ko two part ko aapas me link kiye huye rahta hai aur information and sanketo ke aadan-pradaan aur yaad karne me bhi important role nibhata hai.Deeply agar baat kare to Human Brain yek hi transprent jhilli se bani hoti hai jise Cerebral cortex kahte hai.Medical science me Arbo-kharbo Tantrika cell ko Neurons kahte hai.
Neuron Kya Hota hai?
Yah yek bhut hi Important hai brain ke liye.Ise ham electric cell kahte hai jo Electro magnetic process ke madhyam se signal ko spinal cord aur brain ko send karte hai jisse hamara body reacts and work karta hai.
Iski help se Brain information ko collect karta hai.Lekin bhut hi ajib baat hai ki barso research ke baad scientist ne paya hai ki yek aadmi apne pure life me 5% hi Neurons ka use karta hai jabki bache 95% Bekar pari rahti hai.
1960 se dashak me Dr. Rojak Sapairy ne paya ki Thinking aur feeling karne me left and right part brain alag-alag kaam karte hai. Baad me iis research ke liye Unhe Novel Prize se sammanit kiye gaye.Left part of Brain Body ke logic kaamo per control karta hai jabki Right part of brain creativity kamo per control karta hai.Matlab yah hai ki left part of Brain(20%) word,digit ,language ko logicaly methode se sochata hai , Jabki Right part of brain(80%) color,picture,music,dreaming,creativity ko yaad rakhata hai aur iske baare me sochta hai.
Left part of Brain Body ke Right Part of Brain ko ko control karta hai jabki,Right part of Brain body ke Left part of brain ko control karta hai.Ye dono part information ko aadan-pradaan karte hai aur iin dono me bhut hi taal mel hota hai.Dono aapas me taal mel banakar hi kaam karte hai.
Jara aap sochiye ki Jab ham Kisi digit,word,speech ko yaad karte hai to
hame yaad to ho jaata hai lekin jaldi yaad nhi hota and jaldi bhul bhi jaate hai .Ye baat yek student
ko hi pata hota hai jab exam ka time aata hai.Jabki Music,movies,color,Dream (jo sote huye dekha tha) ye sab baate bhut hi jaldi yaad ho jaati hai and isko aapko ratne ki jarurat nhi parti hai.Aaj mai aapko batata hu ki aisa kyu hota hai. Friends digit,word,speech ,padhai se related ka kaam hamare left brain karta hai jo 20% me aata hai.Jabki Movies,color,picture,music,dreaming and creativity ka kaam Right Brain karta hai jo 80% me aata hai Yahi reason hai ki digit,word,speech ko yaad karke bhi jaldi bhul jaate hai and Music,movies,color and Dream jaldi nhi bhulte hai.
Sucessfull person Education me left part(20%) brain ko right part brain(80%) ke saath jayda use karte hai .Lekin yek simple aadmi Education me jayda left part brain(20%) ka use karta.Ye sab kaise karte hai iske liye aapko Alag se Nimaunicks technique ke baare me jaanana parega jo bhut hi interesting technique hota hai kisi bhi chij ko jaldi yaad karne ke liye.
Post a Comment
Post a Comment