Friends, Aaj mai aaplog ko bataunga ki Gas Subsidy Ke Liye LPG ID Ko Online Bank Account Se Kaise Link Kare? Friends Indian goverment pahle hame Gas cylinder 450 rupes ke under deti thi, lekin jab se Bhartiye Janta Party ki goverment aayi to isne Gas cylinder ki kimat ko increase kar di aur increase karne ke baad isne DBTL(direct benefit transfer for LPG) scheme laayi .friends is scheme ke madhyam se jab aap Gas buy karte hai to goverment increase ki huii paise ko subsidy ke form me 15 to 20 days ke between return kar deti hai. DBTL scheme ki labh paane ke liye aapka bank account aapke LPG Id se link hona jaruri hai ,nhi to aap Gas subsidy nhi paa sakte hai.
Gas Subsidy Ke Liye LPG ID Ko Online Bank Account Se Kaise Link Kare? |
yahi sab baato ko soch kar mai yah post laaya hu jisse aap online bank account ko LPG id se link kar sakte hai.LPG ID 17 digit ka hota hai.apne account ko LPG ID se link karne ke liye post ko acchhi tarah se padhe jisse aap aasani se link kar sake.
Online LPG ID Ko Bank Account Se Link Karne ke liye Kya hona chahiye?
➧SBI Me Account Hona Chahiye Jiske Name Se Aapne LPG Buy Karte Hai.
➧Net Banking Hona Chahiye.
➧Registered Mobile Number With your account.
➧Kisi bhi company ka Gas connection Like Indane,Hp,Bharat Gas
Yadi aapke pass Netbanking nhi hai to aap niche waale post ko padhe aur free me Net Banking Activate kar Le ,iske liye aapko koi charge nhi lagta hai.Bank aapko free me Provide karti hai.
➤ यहाँ पढ़े :- Online Sbi Netbanking Kaise Enable ya Activate kare.
17 Digit LPG ID Kaise Paaye?
aapke LPG ka jo passbook hota hai usme 17 digit ka LPG ID nhi hota hai ,lekin usme reference number hota hai,jiski help se aap online 17 Digit LPG id ko prapt kar sakte hai.different gas connection ka different LPG ID hota hai find karne ke lipe link ko follow kare.
(2)Bharat Gas- https://my.ebharatgas.com/bharatgas/LPGServices/FindLPGID
(3)Indane Gas- https://indane.co.in/findlpgid.php
jaise hi aap link ko follow karenge to aapse kuch details fill karne honge uske baad aap aapko LPG ID mil jayega.
Online LPG ID Ko Bank Account Se Kaise Link Kare?
Step(1)
SBI Online ki official website pe jaaye https://www.onlinesbi.com/ aur apna User id and Password dalkar login kar le
Enter your usewr id and password |
Step(2)
Jaisa ki aapko niche image me dikhaya gaya hai E- service ko select kare.
select e-service |
Step(3)
Step two follow karne ke baad ab aap Link Your LPG Id Ko Select Kare.
Select link your LPG Id |
Step(4)
link your LPG ID select karne ke baad yek nya dashbord open hoga jaisa aapko niche dikhaya gya hai ,jisme aap sahi sahi details ko fill kar.
Fill the details |
uper me aapko jo details fill karna hai oo is prakar hai
➧Apna account ko select kre.
➧Mobile number fill jo bank se link hai.
➧17 digit ka LPG ID ko fill kare.
➧Again fill karke confirm kar de. and Submit button per click kar de.
Step(5)
Jaise hi aap submit kar denge uske baad aapne registered mobile number per OTP(one time password) jayega jise aapko inter karna hoga jaisa ka aapko niche dikhaya gaya hai.OTP enter kare aur submit butoon per click kar de.
Enter Your Otp |
Step(6)
Friends finally aapne LPG ID ko aapne Online SBI account se link kar diya hai.Link karne ke baad aapke pass aisa message aayega jaisa ki aapko niche dikhaya gya hai.
Friends mai aassa karta hu ki aapko Gas Subsidy Ke Liye LPG ID Ko Online Bank Account Se Kaise Link Kare? ke bare me bataya aur aap eassy way me apna account ko link karna sikh liya hoga.
2 Comments
Nice collection ….keep posting such things
ReplyDeleteThanks really effective list to boost up ranking in search engine.
Thanks keep visiting us
DeletePost a Comment